ye thithoorati haddiyo wala budhapaa,
kuch yaado ke khat aur kuch salo purana lifaafaa,
kuch shabd ur gaye hain waqt ke sath,
aur kuch yaad nahi aate aisa hua, umar me izafaa,
rukati hai kabhi kabhi zubaan,jab sanse dikhati hain apana rang,
baate taal jata hai saamane wala,dekh ke haklataa budhapaa,
tab puji pure 206 thi ab to 204 hi hain,
bachpan me do chatakaa di thi, ab dukhati hain vo zaraa zaraa sa,
chhat se use dekh leta tha jab bhi vo khiraki pe aati thi,
ab to chhat pe charane me hi sanso ki ganit bigar jati,
ankho ka kya dosh tha jo inko bhi kamzor kar diya,
vo to chashma raste me mil gaya jisane naya sahara diya,
apani dhalati umar ka bandobast karna bhi azeeb hai,
ye sikorti hai teri khwahishe ko, behichak ahista ahista,
khushiyon ka chhata to hamesha sang rakhaa tune,
par budhape ki dhoop me kyu jal rha hai tu, bujha bujha sa?
hatho me pari lakiro se ek naav bana ke,
khe tu isko door tak mast malang sa,
jo budhapaa pee rha tujhe,us budhape ko tu jee ek dufaa zaraa sa...

Clearly cn see urs..Gud luk 4 future..
ReplyDeleteaap hindi mein kyun nahi likhte, post likhte waqt hindi ke aa ko click kar de aur fir latin mein likhen vo hindi ho jayega
ReplyDeletehey Anurag.. sumbody told me about it.. u kno i'm bad in Hindi. but yeah,i'll try... n welcome to my blog...
ReplyDeletehimanshu yaar tu hindi likh nahi pata ,i think, but dear how i tell u, u r writing penetrating lines , womder full ,try dear u will get succses,anurag anant ,aur han,whwt exactly u r doing pls tell me yaar
ReplyDeletethnx,anuraag for ur kind words. rit now,i m in Film School n want to be Writer-director.
ReplyDelete