Thursday, February 10, 2011

kidhar hai khooda

                                      first act
Parinda-e-dil uraa us chhor, jiska zikr nhi kisi or.
band aankhe andhero me sawaal karti hai, tu hai yahi ,ya fir tu hai bhram ki dor.
aadatan zabaa pe aa jataa hai tera nam,
par tu to hai koi jangul ka mor.
sawan me kab tu nachaa, kisne dekha?
par teri kitaabe machaati hai tera hi shor.
uta loo salib, ki kuroochhetra jau? bata de naseeb, us or jau,
dil me rahnaa hi agar munasib hai tujhe,tu hi bata khuda kise bulau?
                                  second act
jake kah doo ki ye tu nhi,safed kaagajo waali arzoo hain,
bharosa hai jis pe, use khood bharosa nhi apane aap pe,
patharo me rah kar, khood ko masihaa bulata hai,
kyo batataa nhi duniya se, ki tu  kanjor hai.
                                      third act
nishaan-e-khooda to khaaksaar ho gayaa,
insaan ko insaan ka katil banaa gayaa
koi pashchim ko jhookata, to koi dachhir se darataa
duniya ko fazal-e-khooda ne zahnnum banaa diya,
na jane kab rang layega murado ka mol,
bik gayi saari duniya tamnnao ke khatir,
khooshi me falak pe, baadal bajaate hai dhol,
kahaa dhalata hai asamaa? khooda rahataa kis or?