afsos kise hota jab chatakati hai sukhi lakariya,
kuch sathi to thithoor rahe hai baahar aur hum jalaa rahe hain agitiyaa,
aag ko dhalati sanse dekar dusaro ko to khush kar diya,
par banaa ke dhuaa apane ashuo ka dheere se upar ura diya,
kuch daaliya to angiti kinaare baithi, aur kuch ko aag ne koyalaa banaa diya,
thithoorate pero ka khyaal bhi kuch or hai,
kahate hai ki insaano me hume apane hatho ka baratan banaa liya,
mujhe parwaah nahi akarti daalo ki, main darataa hu nanhi kopalo ke liye,
daal to kaat ke le gaye the do din pahale,
par nanhi kopalo ne us ghaav pe maraham lagaa diyaa.
patiyo ka ghauranda aur libaas kafi nahi hai in sardiyo me,
is soch se, parindo ke do joro ne mera puraanaa makaan khaali kar diya,
bahut yakin tha apani neeli chhat par hume,
kal ki larayai me, kohare ne use apaanaa kaidi banaa liya,
door hu main us per se, jisake sang maine apanaa bachapan bitayaa
bit gaye din aur awaraa patiyo me likh kar koi sandesh na aayaa,
main gushuda rahaa chamakti dhoom me aur kati lakariyo ke sang
par meri maut ki khabar urati raakh ne mere mauhalle tak pahuchaa diya...